Monday, December 04, 2006

Straight from my Heart and all just for my Heart....

*
*
*
*
*
*
*
*
*
Hum chaah kar bhi na rok sakenge is judai ko..
Par zinda rehlenge sehthe is tanhaai ko......


*
*
Shaayari ko ab tak tho hum sirf saraahthe rahe..
Aur ab tho rusvaai main apne dil ko Shaayar karaarthe rahe....


*
*
Hum tho yoonhi jee lethe thhe zindagi befikr ho zindagi se..
Aapse bichhadthe laga kya paya kya khoya zindagi se.....



*
*
Jeethe hum tereliye aur mit bhi jaathe..
yeh duniyawaalon se hai sunaa..
Teri ek muskaan ki khatir sirf ae gul gulshan gulfaam..
hasthe hasthe hona hai fanaa.....



*
*
Kuchh humse bhi kar izhaar sanam..
Yaadein hamaari tere dil mein rahein na rahein…
Hamaare saath bhi bithaalo chand pal aahon bhare..
Kal hum rahein na rahein….

*
*
Dekh chuke hain duniya bohot..
Dil ki baath kehne vaale hum kaun hothe hain…
Khushi main tho na chaahnewaale bhi mil jaathe hain..
Par dukh mein sirf ek saathh hi ke liye hum rothe hain…..




*
*
Tum na jaanthe hoge par is zamaane ki bandish
lohe se bhi sakhth hai….
Par yaad rakh mere dosth.. ye aansu bahaane ka nahi..
Zanjeer thodne ka waqth hai…..


*
*
Kachche dhaagon se guldastha tho bantha
Par sakhth gaanth nahi bandhthi…
Mere is kamzor dil se laakh zulm bhi seh jaathe
Par teri judaai ke gham ki dor nahi bandhthi….



*
*
Gham ka saathh kisne chaaha hai..
Sab tho khushiyon ke daaman mein tham jaathe hain...
Par sirf hum hi kyon aise hain ke ab muskaan se zyaada
gham ke aansuon mein khushi paathe hain…..



*
*
Khwaab sirf khwaab reh jaathe tho kitna bhala hota..
Na kisiko chaahne ki chaah hoti na kabhi ye dil jalaa hota..


*
*
Dil mein jo armaan kabhi jage tho who honge bas teri hi khaatir..
Jab koi tare toote kahin aasman mein tho woh bhi sirf us chaand ki hi khaatir…
Diya tho bas jaltha hai ujaale ki aas mein..
Aur hamne jalna seekha hai sirf teri hi khaatir….



*
*
Mar mitne ki chaah hai is tanhai mein
Aur yeh doori bhi ghatthi nahi hamaari…
Par aisi kya baath hai teri dosthi mein
ae sanam.. ke hasthi mitthi nahi hamaari….



*
*
Jisne mujhe dard ka ehsaas dilaaya wo ab dil ke paas nahi rahi..
Aakhri baar ro lena chaahtha hoon par ab ashr bahaane ki aas nahi rahi…
Mere is haal pe taras khaane ka tujhe kya haq..
Jiski saanson mein kabhi chubhan ki pyaas nahi rahi….


*
*
Zindagi se jo lena tha le chuka ab kisi humsafar ki zaroorat nahi rahi..
Dard ithna diya tere pyaar ne ke kisi yaar ki zaroorat nahi rahi..

Aur ab sirf ek hi pal jee bhar jeelene ki aas tho bahut hai
Par ab zindagi ko meri zaroorat nahi rahi…..

*
*
Aapne tho bas dosthi mein rona seekha..
Par hamne pyar ka anjaam bhi dekha..
Aansuon ke daaere mein tham jaana bhi seekha..
Aur duniya se hum pe laga pyar ka ilzaam bhi dekha….


*
*
Har dagar har mod par har yaar se pyar ithna kiya
ke unki yaadein ab mujhse chhoote nahi..
Dil ko dosthon mein ithna baantaa ke dil aur tukdon mein ab toote nahi..
Mere dil ke haal par aainaa bhi sharminda ho na saka..
shaayad woh bhi kabhi ithne tukdon mein toote nahi



*
*
Zindagi mein kai dil jeethe dil haar kar
Par pehli baar achaanak apni duniya haari uspe dil haar kar..
Lagne lagaa ke chaand bhi thod la saktha uska har sapna pyar se sanwaar kar
par socha na tha ke apno aur apne aap ko kho dooonga ek din mein apna dil haar kar...


*
*
Beethe palon ke sahaare jeena sirf insaan ki kamzori hai..
yaad karna aasaan par bhoolna mushkil hai..
Ab humse mat poochho bin dard bin yaardon ki zindagi ka matlab
aakhir hamaara bhi zaraa kamzor dil hai...

*
*
Zindagi ka safar tho pyaare nazaaron ki doli mein guzara
par unhe aankhon ne andekha kar diya..
Aankhon se ho kar dilwaale hazaar guzare par dil ne unhe andekha kar diya..

Phir ek din koi aisa dikha jiski mehek dhadkano ki saans ban kar reh gayi
Par tab ehsaas hua ki kiseene hame bhi andekha kar diya….




*
*
Maine khudko rokkar apni ruki dhadkano ko chalna sikhaaya..
Dabi saanson ko phir se machalna sikhaaya..
Par khudko rokthe rokthe main ithne andhere mein ja pohcha
ke aankhon ne phir na koi rastha na sapna dikhaaya…

*
*
Boond ko hava mein badalthe kisne dekha hai,
is andekhe raaz ko hum shaayad hi kabhi mehsoos kar paayein…
Dhoondenge bejaan boondon ko khuli bahaaron aur bandh deewaron mein,
par khud ke aansuon ko hum shaayad hi kabhi mehsoos kar paayein…


*
*
Beh jaane do mann ko bhaavanaon ki leheron mein,
mann hi mann dukh peene ka koi matlab nahi..
Leherein jo eh gayi so beh gayi, unse sirf mann ki pyaas bade tho achchha hai..
kyunki bin pyaas jeene ka koi matlab nahi….


*
*
Barson baad barsaa hai baadal aas mein tharas us aasman ki..
Arson baad tharsaa hai yeh dil pyaas mein charas us muskaan ki…


*
*
Saalon se intezaar raha unki palkon ki halki chhaanv mein khile gulab ko choomne ka…
Yaad hain who pyaare lamhe ab bhi,
Aur na jaane aaj phir kyun mann kiya hai unhi bahaaron mein jhoomne ka..

*
*
Sheeshe ke tukde par likhi hamaari dasthaan kab ki mit chuki
pighalthe sheeshe ke saathh...
Dhul chukka hai mann dhool ki aandhiyon mein,
Par anjaane hi kyun khada hoon uski chaukhat par failaey apne haath…

*
*
Band hain aankhon ke darwaaze unhe band hi rehne do,
. Koi pyaara sapna na toot jaaye..
Dil ki khwaahishein hazaar sirf khwaabon ke laayak,
behek gaye tum zindagi se tho bhi kya gham,
. bas dekho zaraa koi apna na chhoot jaaye…

*
*
Main chal pada tha nayi zindagi ki or, nayi jagah naye logon ki or..
Zaraa mushkil tha akele jeena, mushkil tha tanhaai peena..

Phir achaanak yahi anjaane banne lage the apne,
. Ab meethi lagne lagi thi subah ki bhor..
ke phir wahi judai ka mausam aaya, phir wahi dard ka ehsaas…

Aura ab dukhtha hai yeh dil soch kar in anjaanon ko jo sama gaye hain dil mein,
. ke kya ab ja paaunga phir ek nayi zindagi ki or?

*
*
Kehthe kehthe ruk jaathe shabd tere labon par..
. Saawan barastha bai dil mein roz, tho phir kyun hai pyaas tere labon par..
Ab reh jaane de gham mujh tak, kuchh thu aansu reh sakein sirf mujh tak..
. Hasthi rahein palkein teri, aur bas pyaar hi chahalke tere labon par…

*
*
Maine jo kaha who tumne suna nahi, aur jo tumne suna woh maine kaha nahi..
Kehne ko tho main hoon bhi aur nahi bhi,
. Par hoon tho wahi jo kabhi tere bin raha nahi…


*
*
Tumhaare gham sirf tumhaare nahi, kuchh hamaare bhi hain,
. Tho kyun aaj ckele hi khudko rula rahe ho…
Galthi thi hamaari par tum kyun tanhai se math kha rahe ho…

*
*
Tere jo aansu bahe tho dil ne gham bhari ek gazal likh daali,
. Dil jo roya tho maine phir ek shaayari likh daali..
Likhthe likhthe kho diya zindagi ko aise
ke zindagi ne meri bhi ek band kahaani likh daali…

*
*
Log hasthe hain meri majboori par,
. ab is bheed se door un leheron ko sunna chaahtha hoon,
. mujhe koi ek bejaan seep ya shankh de do..
Hastha tho hoon main khud apni kamzori par,
. ab bas ye duniya chhod aasmaan chhoona chaahtha hoon,
. toote hi sahi bas mujhe koi pankh de do…


*
*
Zindagi bhaavanaon ki aisi leher hai jisme har pal ek nayi ummeed ki bhor hai..
Jaayaz hai har tootthi ummeed par aansu bahaana
. Lekin chalna tho zindagi ki hi or hai..
Ek ummeed tooti bhi tho kya hua,
ye leher tho hai us khushiyon ke anpehchaane samandar ki,
. jiska na koi anth na koi chhor hai…

*
*
Naam na lo uska, theer ban kar chubhtha hai kahin dil mein..
Yaad na dilaao pal jo beeth gaya, dard ban kar dukhtha hai kahin dil mein..
Jeene do mere dil ko tanha hi sahi,
. woh dil ka tukda ab dhadkan ban kar sulaghtha hai kahin dil mein…

*
*
Na saanson ki koi mehek na dhadkanon ki koi zubaan..
Lekin inka ehsaas zaroor dilaathi hai ghadi ghadi badalthi armaanon ki daasthaan..
Badal tho log bhi gaye, apne bas mein kabhi tha hi kya..
. na mutthi bhar zameen na aasmaan…

*
*
Girtha hua zameen par main sochtha raha ki kya yahi mera naseeb tha,
Bas tumne ek sahara tho de diya hotha?
Der ho chuki ab tho, guzar chuka hai who pal, par mujhe kabhi apna maana hi na tha
tho sirf ek ishara tho de diya hotha?

*
*
Behke Behke the kadam mere, dehke dehke the armaan..
Sirf teri ek jhalak ki pyaas this, pyaas bas pyaas hi reh gayi tho kya hua,
ab aansu ban kar pighalenge mere dil ke farmaan…

*
*

kyaariyon se phool churaun tho unse tere liye gulastha buntha hoon,

neend nahi aathi hai raathon mein, bas tere liye satrangi khwaab chuntha hoon,

Har pal mann ki dhun gungunatha hoon, par har sur mein teri hi dhakdan suntha hoon...

*

*

Jo sab saathh rahe tho unhi mein khushian dhoond li..

Jo woh paas rahe tho unhi mein jeevan ki manzil dhoond li..

Bichhadthe hue unse dil ne aansuon mein apni meeth dhoond li..

Aur phir samay ke guzarthe, un soone palon mein guzare lamhon ki yaadein dhoond li...

*
*
Kithna tumhe chaha ye izhaar na kar sake,
Jo tumne maanga woh tere liye hum yaar na kar sake..

Na kabhi ehsaas hua ki tum ithna roye hamaare liye,
ki apni galathiyon ko inkaar na kar sake..

humne tho chaaha tumhe khud se bhi zyaada,
par rothe hain sochkar ke kyun kabhi is baath ka ikraar na kar sake…
*
*
*
*
*
*
**************************************

The Day I started looking inside My Heart.....

" That was one of the Toughest nights..
of all the pain and desperation.....
Poor heart was the one at those heights..
and for it.. till far, horizon was just the separation...... "




and with this note.. that night started my voyage into something i never imagined for myself.. and had always wanted something from my life..

something.. something that would bring me bliss.. and completeness...
The feel of the breeze.. and the smell of the dewdrop that would never freeze....


*
***
*****
******
*******
******
*****
***
*


Life's always had something good for me..

At every turn n twist, it had cherishable trends for me..

In all my atrocities and pain, it had friends for me...

Whenever I craved to end myself,
it had my responsibilities at the loose ends for me....

Though life seems to have some unfathomably libid lends for me,
I think I'll miss you my friend more than my life when God sends for me..........


*
***
*****
******
*******
******
*****
***
*



Sky was falling at my horizon..

But there was still that light..
which always shone upon me when hope was out of sight...

This time, the glow wasn't bright
but at distance, life was still calling...

Then there was a smile which could resurrect my spirits..
but nonetheless, the sky was still falling......